Continued....
Hm : tho ye baat hai 3 saal pahle ki... app sab ko yaad hoga hume as an assistant doctor appoint kiya gaya tha city hospital mai basic medical training ke liye...
Everyone : Ha yaad hai phir...
Hm : Ha tho waha 3 saal pahle jab hum doctor ki training le rahe the tabhi ek admi aaya elaaj ke liye lekin kafi jyada daara hua tha... hume laga ki ghaav jyada lagne ki vajar se shayad aisi halat hogi uski.... Usko kafi jyada chot aayi thi aur ek goli bhi lagi thi haat facture hogaya tha aur pair pe bhi bohot jyada laga tha jaise gir gaya ho.... Fresh jakham the... Haaf raha tha jaise koi piche pada ho uske... Halat bohot kharab thi bohot jyada jaldi mai tha jaise usko jald se jald waha se nikalna ho... Humne uska elaj kiya lekin uske baad usne shayad wo logo ko dekh liye jo uske piche the issi liye wo hamare clinic ke window se khud gaya aur bhag gaya... Phir 2 admi aur hamare clinic ke darwaje pe aaye... Humse puch ne lage ki koi jakhmi admi waha aaya tha kya... Humne us samay unhe na bolna sahi samjha... Humne unse na keh diya kyuki jo admi hamare pass aaya tha wo kafi jyada innocent lag raha tha... Aur dusre 2 admi aaye wo terrorist se kam nhi the... Jaise he humne unhe na kaha wo log waha se chale gaye....
Everyone : phir......( all where concentrating only on story )
Hm : phir hum ghar aaye... Khana khaya.. Change karke sone he ja rahe the ki hume phone aaya tho humne hamare purse khola.... Lekin iss bar hamare purse mai kuch tha..... Pendrive thi jo ki humne kabhi rakhi he nhi thi hamare pass... Black color ki pendrive thi vo... Humne socha ki usse ek baar khol ke dekhna chahiye... Jab humne uss pendrive ko hamare laptop se connect kiya tho ek file open hue aur wo file mai UCA yani under cove agents ke code language ka saara data tha....
( everyone where shocked after listening this and haseena continued....)
Hm : hum tabhi he samaj gaye ki ye pendrive hamare desh ke liye bohot important hai agar kisi galat haato mai ye pendrive aa jaye tho hamare desh ko bohot badi kimat chukani pad sakti hai... Uss samy jitne bhi agents secret missions pe the sab ki jaan ko tho khatra tha he saat he saath sab ki identity aur desh ki security sab dhav pe lagi thi.... Humne tabhi he soch liya ki ab chahe hamari jaan chali jaye lekin hum pendrive galat hato mai nhi jane de sakte....
( Everyone where feeling proud of her daughter, sister and best friend ( crush π ). )
Hm : hum aap mai se kisi ki jaan ko khatre mai nhi daalna chaahate the issi liye aap mai se kisi ko ye baat nhi batayi... Karu please gussa mat hona humne issi liye nhi bataya kyuki tum us samay force mai nhi thi SI ke exams ki taiyari kar rahi thi tum ( said to karishma ) ammi aap the lekin aapki jaan pe hum aach bhi nhi aane de sakte... Anu ko hum bata sakte the kyuki vo uss samay aap department mai negotiations specialist work karte the...but agent the yeh hame nhi bata tha lekin unki posting tabhi delhi mai thi... Aur ma aap commando hai hume pata tha lekin uss samay aap ki tabiyat kharab hone ke karan aap hospital mai thi...aur aap log ( to cheetosh and vs) tabhi academy mai training le rahe the....tho humne ye sab confidential rakhna he sahi samjha.....
( everyone agreed because she was having valid reason of hiding this all things....)
Hm : humne turat he pendrive ka sara data ek dusri pendrive mai store kar liya.. Hamare pass red color ki ek pendrive thi usmai sara data copy paste kar diya humne aur password set kar diya sath he saat fingerprint protection bhi laga diya jisse agar kisi ke haat pendrive lag bhi jati hai tho koi khool na paye... Hame pata tha ki vo log kahi na kahi se hamara pata laga lenge ku hamare pass pendrive hai vo hamse pendrive leke hume maar dene ki koshish karenge.... issliye hum ne ghar se kahi chale jane ka socha jis se aap sab pe koi pareshaani na aaye.... aapko ye bhi yaad hoga ki humne kaha tha ki humari friend ki mummy ki tabiyat kharab hai isliye as an doctor hume hamari friend ne waha uske ghar yani delhi bulaya hai uski mummy ka elaj karne ke liye... ( everyone nodded in positive ) ha tho sorry humne jhut kaha tha hum lucknow mai he the delhi mai nhi...ghar se jane ke liye humne aisa kaha tha... Ab uss samye vacation nazdik thi isliye ye bahana chal gaya abhi iss bar final exams thi isliye koi bahana nhi bana payeΒ ghar se aane ke liye...( she said innocently... π₯Ίπ As everyone one where staring her because first of all she was hiding things and she told lie and tried to escape from house twice )
Ammi : tumhe bata hai na hume jhut se kitni nafrat hai phir bhi ek nhi unek jhut bole hai tumne.... tumhe tho na hum.. π π
Hm : issi liye nhi bata rahe the kahani.. apne he pair pe khulhadi maar li humne... Ab maate kahani ki gadi ko aage badaye ya nhi... aage tho aur bhi gussa aayega aapko phir ek sath he dhaatt lena vaise bhi aaj ke din hamaare nazib mai dhaat aur maar khana he likha hai... π₯Ίπ₯π
Ammi : karishma ke saath rahakar na ab tum bhi hame ulta javab dena shik gayi ho bata te hai tum dono ko baad mai... π‘
Km : aama ab humne ka kiya...hum kaha se aa gaye bich mai... Kahani ki kadi ko kahe tod rahe hai...di ko continue karne dijiye... Phir jo karna gai kariga hamare saath...
Hm : .....
Ammi : bologi ab kuch ya aise he dekhti rahogi hume... π‘
Hm : tho aap log hume aise deathly glares dena band Kijiye na... Khair aage badte hai..... Phir hum lucknow mai he the ek hotel mai humne room book kara liya tha hamare liye..... Hum soch rahe thi ki aab kya karna hai kyuki hamare pass tho koi aisa contact nhi tha jispe hum bharosa karke pendrive ko de sake.... Utni he dher mai hume hospital se phone aaya hamari colleague ka kavita naam ki... Usne hume bataya ki wohi 2 log phir se hospital mai aaye the aur unhone hamare cabin se hamara photo liya aur chale gaye.. Staff members ne rokh ne ki koshish ki but Nakamiyab rahe... Gun dikhaya tha unhone issliye koi photo lene se rok nhi paya... Hum yaha samaj gaye ki ab unhe hamare baare mai pata chal gaya hai ab vo log hamara picha karenge.... hamari ek school friend hai jiske papa official agent hai desh ke liye official missions pe jate hai... Undercover agent nhi the issi liye unke baare mai hamari friend aur hume pata tha... Vo kafi baar hume invite karte the ghar pe.. Kyuki vo hume beti jaisa he mante the... Humne unke pass jana sahi samjha... Humne hamari friend ko phone kiya aur bataya ki hum unke ghar aa rahe hai... Kuch samay mai hum unke ghar Poche humne friend ke papa se akele mai baat ki unko sab vistar bata diya...ab vo 2 logo ke pass hamari photo thi pendrive department ko surakshit dene pe bhi hamari jaan ko khatra tha... aur sath he saath vo logo ke Matermind ko pakadna bhi jaruri tha isliye hamari friend ke papa yani agent slay.... Hume unke department yani UCA confidential department mai leke gaye...
Hm : unhone hamari pehchan karwayi.....
Flashback
ABS ( agent slay ) : jai hind sir...agent ray jis pendrive ko banglore ke department se lucknow ke department mai leke aa rahe the vo pendrive hume mil gayi hai....
Sir : kaha mili... Kya agent ray thik hai aur agent ray se contact kaise kiya tumne... experts tho abhi tak agent ray ko trace nhi kar paye..?
ABS : nhi sir agent ray ka koi aata pata nhi hai... ( he narrates whole story )
Sir : okay tho ab ye sab kafi serious ho raha hai... Hum hum koi risk nhi le sakte... Hum jante hai miss malik ki aap ek doctor hai mission, force se aapka koi lena dena nhi hai but I hope aap iss situation ki gambhirta ko samj rahi hai... Hume ab Matermind ko pakadne ke liye aapki jarurat hogi... Dekhiye aapke pass koi option nhi hai aapko saath dena hoga ye aapki, aapke pariwar ki aur sab se jaruri desh ki suraksha ka sawal hai... abhi hame apna faisla batayi.... ( He is same sir who is currently leading mission Deshbhachav )
Hm : sorry sir galat kaha aapne... Ki hamara mission ya force se koi lena dena nhi hai...hamare abbu aur pitaji dono desh ke liye shahid ho gaye ( pitaji is anubhav' father ) hamari ammi aur ma dono policeΒ & army force mai hai... Hamare Sare bhai bhen police force ke liye training le rahe hai... Aur hamara best friend jo hame hamesha acche kaam karne ke liye protsahit karte hai vo bhi same field mai hai tho desh bhakti tho rag rag mai hai sir... Chahe jaan chali jaye lekin desh ko aacha nhi aane denge..
( Hamara first experience tha ye sab kuch.. Hum kuch time ke liye blank ho gaye the samaj nhi aa raha tha ki kya kare... Family bhi hai piche... Mission pe kuch aisa ho jaye jo nhi hona chahiye tho phir kya hoga... Yehi sawal dimaag mai ghum rahe the... Phir desh ki security ka sawal hamare dimaag mai aaya..... Phir aap sab ke chehare humne aakhe band karke deki socha ki jab hamari puri family he desh premi hai tho phir hum kyu nhi.... Hame bhi tho desh ki suraksha karne mai yogdaan dena chahiye... Aisa moka sab ko nhi milta hame.. Bina kuch kare mil raha tha hamari ma yani hamare vatan ki seva karne ka moka... Hum kaise gava sakte the... Humne Ha keh diya mission ke liye... Mission actually isiliye tha kyuki hume Matermind ko pakadna tha aur unn logo ke pass hamari photo thi..)
Will continue in the next part
Let me know whether you like this part or not.
Next part : haseena's first mission.
Write a comment ...