02

PTM

Let's begin....

Somewhere in delhi 2 persons where talking on a phone call...

P1 : hassu hamne kitni bar kaha hai aa jao na lucknow kyu nhi aa rahi ho dekho tum dono bhi abhi bacchi ho waha akele rehti ho 7 saal se... Santu aur hum dono tum logo ko bohot yaad karte hai.. Tumhe pata hai na tum teeno ke siva hamara kon hai.. Santu bhi tumhe ideal manti hai abhi uski 10th bhi khatam hone wali hai ab vo bhi college mai aa jayegi.. Uska sapna hai police officer ban na hum tho hai police force mai lekin wo hamari kaha kuch sunti hai tum logo ki baate sunti tho hai...
( Yes she is pushpa talking with haseena on a phone call )

Hm : Choti ammi hum jante hai aap log hum logo ko bohot miss karte hai lekin kya kare karu ki college yaha hai aur hamari bhi posting yahi hue hai na tho hum kuch nhi kar sakte lekin jaise he possible hua hum aapko milne aane ka try karenge... Chaliye ab hum phone rakte hai jogging pe jana hai...

Pm : thik hai khyal rakhna dono...

( haseena cuts the call and went to karishma's room and saw her sleeping )

Hm : karu utho subhe ke 5:30 baj rahe hai...

Km : di sone do na roj tho hum 5 baje training ke liye aa tho jate hai aaj aapne he hume chutti di hai atleast aaj tho sone do aaram se....

Hm : chutti di hai kyuki tumhara body pain ho raha tha kal iss ka matlab ye nahi hai ki tum late utho gi college nhi jana kya aaj... Dekho akri baar bol rahe hai uth jao hum jogging ke liye ja rahe hai 20 minutes mai lautenge tab tak agar tum hume ready nhi mili na tho dekh lena hum se bura koi nhi hoga.. 😑

Km : waise bhi aap se bura koi nhi hai....

Hm : pata hai hume ab chup chap utt jao nhi tho aaj ka din kabhi nhi bhulogi..😑

( by saying this she went down for jogging while she meet one of karishma friend in the garden )

Hm : Arrey jiya tum yaha college ke liye ready nhi hue tum?

Jiya : nhi di wo actually mummy ready ho rahi hai na college ke liye tho unke ready hone ke baad mai ready hone chali jaungi...

Hm : aapki mummy college ke liye ready ho rahi hai lekin kyu?

Jiya : aaj PTM hai na aur open day bhi hai aaj jo final exam hue the na hamare class 11 ke uska results denge aur teachers ko parents se personally milna bhi hai iss liye..

Hm : 😲 kya aaj PTM hai?

Jiya : ha aapko karu ne bataya nhi 8:00 bajhe hai PTM aur principle ne specially announce kiya tha jiske parents ya guardian nhi aayenge unko next year continue nhi karne denge.... Thik hai chaliye di mai jati hum mummy bula rahi hai bye..

Hm : ( in mind ) ye ladki bhi na na jane kab samjhegi kuch he mahino mai usko 18 lag jayega lekin responsibility samaj mai nhi aati usko.. Kya kare hum iss ka..

( while thinking she came home and found karishma on dining table.)

Km : kya di hame kaha aapne ki 20 minutes mai aa rahi hai aap aur ghadi dekhiye pure 35 minutes late hai aap.. Hum tho kabke ready hoke yaha baithe hai...

Hm : aaj PTM hai?

Km : ( in mind : ye di kaise pata chala humne tho jan puchke nhi bataya tha... Ab kya kare humare tho saare papers kharab gaye the aur pichle 2 weeks se hum college bunk kar rahe hai aur baki bhi kitne kand kiye hai humne college mai sab mam didi ko bata dengi ab tho hum gaye... Humne tho socha tha college jane ke bahane aaj bhi bunk karenge lekin nhi.. Jisne bhi di ko bataya na uski maiya ki sasu maiya.. Chordenge nhi hum uss shak ko jisne ye gunah kiya hai )

Hm : kaha kho gayi humne kuch pucha hai tumse..

Km : di aapko kisne bataya?

Hm : tumhe usse matlab jitna pucha hai uthna batao..

Km : ha di hum aapko batana bhul gaye..😟.

Hm : sach mai bhul gayi thi ya jaan puch ke... πŸ€”

Hm : khair chordo vaise bhi hume acche se pata hai college mai kya hone wala hai mam badi si list saare tumhari galti se bhari hume sunane wali hai tho abhi tum se behas karke kuch nhi milega sidha aake he baat karte hai.. Hum nasta laga dete hai tum nasta kar lo hum ready hoke 15 min mai aate hai tum hume gadi mai milo.

( while saying this she left for getting ready here karishma was setting while thinking what will happened after her sister will get to know what she did in college..)

( after some time they reached college.. Karishma tried hard to stop haseena from going to college but she was unable to do so..)

In college...

Hm : good morning mam hum karishma ki sister hai...

Mam : Arrey aiye aiye.. Aap hi ka intezar tha hume nhi principle ko.. Specially principle ne aapko waha bulaya hai unhe ke pass inki result bhi hai aap unke cabin mai jayiye...

Hm : aisa kya hogaya mam jo principle sir ne personally bulaya hai..

Mam : pure college ko pareshan karke rakha hai inhone tho VIP guest tho hai he ye hum kaise inke karnamai aapko bataya sida principle se he baat kar lijiye..

Km : VIP Guest 🀭☺

Hm : jyada khush hone ki jarurat nhi hai tarif nhi ki hai tumhari ab chalo...

( she dragged her to principles office )

In principle sir office

( karishma was standing bowing her head down and haseena was burning in anger )

Sir : kya bataya miss malik aapko inhone itna pareshan karke rakha hai ki pucho mat... Result bhi agar thik hote na tho hum atleast mante ki nhi college mai rakna chahiye but nhi... Pahle tho bohot acche results the but ab kuch dino se pata nhi kya hogaya hai inhe 1st semester mai 98% and abhi final exam mai 69% matlab kitna bhadlav... Aur inke attendance bhi 75% nhi hai pichle 2 week se tho yeh aa he nhi rahi hai college aur last PTM mai tho inhone fake sister ko lane ki koshish ki thi.. Hamre college ki 3rd year ki student ko inhone paise deke PTM as an her sister laya tha... Ek bacche ne inse inki book kya le li inhone usko itna maare ke vo bacha abhi hospital mai admit hai aur inke khilaf complain bhi ki hai... Ab aap he batayiye kya kare hum inka...

Hm : sir 2 week kaise ye tho roj college ke liye nikalti thi ghar se....

Sir : nhi miss malik inhone tho kaha ki aapki tabiyat kharab hai aur aap hospital mai hai tho 2 chutti chahiye...

Hm : lekin sir 2 week nhi aane pe bhi 75% attendance kaise complete nhi hue...

Sir : absentee he inki kitni hai...

( haseena gave dearly glare tho karishma... Karishma became more scared...haseena took the result and asked to forgive Karishma and lft the cabin of sir while dragging karishma with her....whole journey from college to home spend silently as karishma didn't dare to speak anything...)

( they reached home karishma was standing bowing her head down and haseena was staring her in anger sitting on the couch )

Hm : ab bologi bhi kuch ya aaise he kadhi rehne ka irada hai 😑😑( she shouted )

Km : s. So.. Sorry. πŸ₯ΊπŸ˜’ ( with shivering voice )

Hm : kya sorry ha kya sorry... Kyu itne saare absentee hai college mai.. Hum bimar the ha kab bimar the hum 2 week kaha ja rahi thi tum.. Aur result kyu itna kharab hai marks deke hai kaha 98 aur kaha 69 ..nhi karna padhayi tho bol do na kyu hamara time waste kar rahi ho.. Ammi abbu ke jane ke baad humne kya nhi kiya ha tumhare liye lekin nhi tum tho hume granted leti ho na... Galti pe galti itni galti koi karta hai kya.. Aur tumhe pata hai ki hume maar pit pasand nhi hai phir kya jarurat thi uss bache ko marne ki ho gayi na complain ab principle tumhe same college mai continue nhi karne denge.. Kaha jayenge hum... Kyu itna pareshan karti ho ha... Kaha thi tum itne din ghar se tho college ke liye he jati thi phir kaha thi.. Dekho agar hume pata chala na ki tum koi galat raste pe ja rahi hai kisi chiz ki aadat lag gayi hai tumhe tho bata rahe hai tum bhul jana tumhari koi didi hai.. Hum bilkul saath nhi denge tumhara... Ab batane ka kast karo kaha jati ho aur bina fumble kare bolna woh..wo nhi sun na hume...😠😠😠

Km : wo di hum bunk karte the classes friends ke sath bahar jate the.. Lekin koi buri aadat nhi lagai jaisa aap soch rahe ho aisa kuch nhi hai actually hamara ek friend hai jo apni family ke sath kal America chala gaya... Bohot he khas dost tha hamara 5th class se hum sath mai he padte the vo jana nhi chata tha lekin family ke karan wo chala gaya 2 week pahle he hum sab ko usne kaha ki wo ja raha hai foreign tho issi liye hum sab dosto ne milke ye 2 hafte uske naam kar diye.... Aur exams ke pahle hum Sare friends na bike ride pe gaye the bullet race lagayi thi hum sabne permanent license tho nhi hai hamare pass lekin learning license hai tho socha kyu na race lagay tabhi... Tabhi wo ek dost ka accident ho gaya tho uske mummy papa ko bina bataya humne uska treatment karaya tho hum sab bich bich mai usko hospital milne jate the class bunk karke... Issi liye padne ka samay he nhi mil paya aapko jab humne yeh kaha tha ki group study ke liye ja rahe hai tabhi hum sab hospital mai ja rahe the tho issi liye marks kam aa gaye study time se nhi karne ke karan.... Aur uss bacche ko humne sirf book ke liye nhi maara tha uss ladke ne hamari ek dost ko flirt kiya tha pareshan kar raha tha tho sara gussa ek he baar mai nikal gaya... πŸ˜’πŸ˜’πŸ˜”πŸ˜”πŸ˜”

( haseena stood up and slapped her thrice hardly...)

Hm : tumhara kya dimag kharab ho gaya hai.. Learning license pe tum race laga rahi ho... Aur standoff karna tha friend ka ek pura din chutti le leti pure 2 hafte college bunk karne ki kya jarurat thi... Aur uss bacche ne pareshan kiya tha tho teachers ko batana chahiye na hume bata deti hum police force mai hai apne tarike se samjha te usko kya jarurat thi itna marne ki.... Aise banogi tum police officer... Itne kam marks ke sath aur kaha maturity dikhayi tumne... Ab bus bohot ho gaya bohot galtiya kar li tumne aaj he jao aur uss bache ke parents ko batao hospital mai kaise pocha vo aur maffi mango aur ha jis bacche ko mara hai uske pass bhi jake sorry bolna aur ek baat tumhe tho hamari koi baat sun ni nhi hoti na tho kal se training ke liye bhi aane ki jarurat nhi hai nhi denge hum tumhe training... Officer ban ne ke khali sapne dekhne hai... Learning license bullet race ke liye diya jata hai... Rules thodne hai aur office banna hai hamare paas mat aana tum... aur ha please agar studies aage continue nhi karna na tho bata dena hamara time waste mat karo.. Vaise bhi college ne warning aa gayi hai wo continue nhi karayenge tumhe... Meeting hai ye bhi nhi bataya tumne.. Aaj pata hai dsp sir se milne jana tha hume hum late ho gaye tumhari wajar se ab kya kahe sir ko... 😠😠😠😠😠

( she left for the departments after scolding her... Here karishma was crying continuously as she realised what she did in peer pressure....)

Will continue in the next part
Let me know whether you like this part or not.


Write a comment ...

Write a comment ...