( in headquarter hm enter in headquarter saw DSP sir was getting very angry as she was very much late.... She took deep breath while standing near the door and asked for permission to come in )
Hm : may I come sir...
Sir : ayiye aap he ka intezar tha π time kya hua hai miss malik..
Hm : 12
Sir : aur kitne baje report karna tha aapko hume?
Hm : sir 11...sir I know I am late.. I am really sorry sir please maaf kar dijiye next time pakka kabhi late nhi honge hum..
Sir : Thik hai 1st time late hai aap issi liye rehne dete hai hum... Humne aapko FIR file ke sath bulaya tha kaha hai report...
( She gave file sir started checking it whether everything is right or not and then gave file back to her...)
Sir : ok so file thik hai... Humne aapko kuch orders dene ke liye bulaya hai ye lijiye letters...
( He gave her letter she opened it and started reading and she got shocked )
Hm : sir ye.....
Sir : Transfer letter hai... Aapka sthanantaran ho raha hai lucknow mai.... Waha mahila ki safety ke liye ek bhi thana nhi hai janta ki mang ke baadh sarkar ne waha ek mahila police thana khola hai... new Head constable ko already notice mil gayi hai... Ab aap ka bhi transfer waha ho jayega... Constable bhi hum 2 waha aa jayege sawal uth ta hai SI ka tho jo bhi better candidate hoga SI ke liye kuch mahino mai New SI ki bhi posting waha ho jayegi tab tak Aap tho hai he waha SHO ke rop mai....
Hm : lekin sir hume transfer nhi lena tha please sir agar ho sake tho kisi aur SHO ko waha bhej dijiye....
Sir : Not possible miss malik ek kabil SHO ko naya thana sambhalna chahiye aur humne aapko choose kiya hai... Iss thana ki saare case solve karne ke liye... Aap ko he jana hoga and that's an order...
Hm : okay sir jai hind....
( Haseena came home with sad face as she was thinking something ....)
Hm : ( in mind ) Ab kya kare karu ki training classes tho yaha join karwaai thi ab lucknow mai kaise... Sab kuch naya vaise tho choti ammi ke pass jate the tho lucknow ke baare mai pata tho hai lekin waha chale jayenge tho choti ma ko bhi kitni tension hogi teeno ko sambhal ne ke piche he pura din nikal jayega... Upper se karu ki 12th hai boards year hota hai ye saal naye college mai kya vo adjust kar paye gi karna tho hoga he abhi jis college mai hai waha ke log tho tang aa gaye hai usse continue nhi karwa sakte aisa keh diya hai complaint ki wajar se ... Lucknow jayenge tho choti ammi pakka karan puchengi boards year ke time college kyu change kiya uska ab kya bataye karu ke karname.... Hum tho pareshan ho gaye hai...
( thinking like this she reached home and found no one there....)
Hm : ( in mind ) ab ye kaha chali gayi apne room mai bhi nhi hai aur hall mai bhi nhi phone bhi ghar pe rakha hai kahi jyada tho nhi chila diya na humne.... Kaha gayi hogi...
( she started cleaning the house and after 1 hour karishma came home....)
Hm : kaha chali gayi thi tum tumhe pata bhi hai hum kitne tension mai aa gaye the... Atleast phone karke bata tho diya hota.... π‘
Km : aap he ne tho kaha tha hospital jake uss bache ko sorry bolne ke liye tho wahi gaye the... Flowers aur chocolate leke gaye the akele nhi sath mai hamari friend ko bhi leke gaye the humari galti hai tho uss ladke ki bhi galti hai kahe cheda hamari dost ko family ke samne hospital mai hamari friend ko pahle usne sorry bola phir humne usko sorry bola uski mummy ne bhi girls respect pe accha khasa lecture de diya usko... Phir jis ladke ka accident hua tha uske ghar gaye.. Uske mummy papa thoda gussa hue lekin phir maaf kar diya ye bol ke ki hum sab acche dost hai kyuki galti hone ke baadh bhi humne uska sath nhi chorda tha apni savings mai se uska ilaaj karaya tha uske saath khade the hum sab tho vo logo ne hume maaf kar diya... Aapke liye bhi laye hai chocolates aapki favorite wali aur aapke liye flowers bhi laya hai... Humare karan late hone pe sir ne aapko chilaya hoga na coffee bana ke rakhi hai humne pi lijiye accha lagega aur khana bhi ready hai... Khana kha lijiye subhe se kuch nhi khaya.... Hum ab man laga kar padenge aur roj time pe aase training lene aa jayenge dekna di aapko hum accha officer ban ke dikhayenge ye hamara wada hai aur ye tho pura shehar janta hai ki karishma malik apne wada ka kitna pakki hai... Please maaf kar dijiye aapko nirash nhi karna chahte the.... ( said in guilty tone )ππ₯Ί
( haseena melt there only after seeing how her sister is guilty for her deeds she came and hugged her tightly... Karishma started crying badly while hugging back her sister... After 20 minutes they broke the hug and started cupping each other's face.... and made each other smile...after that they had lunch and they they went to bedroom haseena was sitting on the bed and karishma was sleeping on her lap...)
Km : didi jab se aap aayi hai tab se kuch koyi koyi si hai kya soch rahi hai aap.. headquarter mai sir jyada he kuch bhadak gaye late aane pe?
Hm : ha jab gaye tabhi gussa tho hue the lekin phir shant ho gaye lekin sir ne hamara transfer kar diya hai....
Km : kya ( she was shocked and she woke and sat straight in front of haseena..)
Km : kaha aur kyu.?
Hm : Lucknow.. Waha naya thana khula hai mahilaaon ke liye... Mahila police thana....
Km : accha lucknow mai tho phir thik hai... Hum vaise bhi santu ko bohot miss kar rahe the kal tho call pe wo ro bhi rahi thi hum logo ki yaad mai...
Hm : ha lekin tumhara training campus aur kuch din baad tho tumhara SI officer ke liye final exam hai na tho phir kaise manage hoga....
Km : Arrey app tension kahe le rahi hai.. Exam tho hum lucknow ke kisi Institute mai bhi tho de sakte hai... Notice tho aayi hai na ki aapke nazadik mai jo bhi Institute hai waha se exam de sakte hai aur training tho aap bhi deti hai hume tho phir chinta kis baat ki hum tho kush hai.. Wahi kisi college mai hum admission bhi le lenge.... Abhi tho bohot samay hai na studies new year start hone mai itna samy bus hai....
Hm : tum thik keh rahi ho... Hame bhi lagta hai hume lucknow shift ho jana chahiye.... agar saari chize manage ho rahi hai tho shift hone mai problem nhi hai 2 din mai hume lucknow ke dsp sir ko report karke thana jana hai kal he hum lucknow shift ho jayenge ab khush...
Km : bohot kush abhi hum santu ko call karle bata dete hai....
Hm : nhi bilkul nhi abhi kuch nhi batana unko... Agar abhi bataya tho wo log jid karenge unke sath rehne ke liye hum aisa nhi chahte wo log waise bhi 2bhk house mai rehte hai ek room santu ka ek room choti ammi ka waha hum bhi chale jayenge tho wo log hume tho aaram se rehne dene ke chakkar mai khud adjust karne lagenge... Aur waha tum bhi choti ammi ko pareshan karti rahogi jab hum thane jayenge tab... Wo bhi working women hai head constable hai wo kitna kam karengi we... Nhi hum unhe pareshan nhi karna chahte.. Ye ghar mai ammi abbu ka aeshas hai isliye hum iss ghar ko bechenge nhi rent pe de dete hai phir kuch din rent pe kahi ghar le lenge ya phir 2-4 jab tak rent pe accha ghar nhi mil jata hum hotel mai ruk jayenge phir hamare kuch paise ghav se aane wale hai usse hum lucknow mai khud ka ghar le lenge thik hai....
Km : lekin choti ammi ko agar pata chala ke hum hotel mai reh rahe hai tho wo bohot gussa karengi...
Hm : unko pata he nhi chalne denge na hum... Jaise he hum khud ka ghar le lenge na tab unko bata denge ki hum shift ho gaye hai... Ha thoda gussa aayega unhe but ghar le he liya hai tho wo kuch nhi kar payengi phir...
Km : thik hai jaisa aapko thik lage... Hume kya.. Hum tho keh denge didi ne jabardasti kuch bolne ke liya na kaha tha... Phir hume nhi pata wo kya karengi aapke sath..
Hm : ha thik hai wo tab ka tab dekha jayega.. Abhi so jao kal subhe nikal jayenge hum lucknow ke liye waha jake saare saman naye le lenge... jitne purane saman hai sab bech denge...
( talking like this for more 15 minutes they slept )
Will continue in the next part
Let me know whether you like this part or not.
Write a comment ...