06

Friend ka birthday

Pm : haas saara kam ho gaya dono ghar ko ek kar diya aur sab saman thik se samet diye.... Hum tho thak gaye.... Khana bana diya hai kha lo tum hum ja rahe hai room mai... Abhi man nhi hai hamara khana khane ka jab man hoga tab hum khud kha lenge.... Aur ha haseena Sare question papers ready kiye tumne?

Hm : ji ammi saare papers taiyar kar diye raat ko he....

Pm : thik hai tho karu, santu khana khake hamare room mai aao haseena tum bhi paper hamare samne solve karna dono aur phir haseena tum check kar lena....

Sm, Km, Hm : ji ammi

Hm : exam inki pareshani hume πŸ€¦β€β™‚οΈπŸ€¦β€β™‚οΈπŸ€¦β€β™‚οΈ

Pm : kuch kaha 🧐

Hm : nhi kuch nhi....

Pm : ha tho baithe kyu ho teeno kaha na khana kha lo jitna late karoge utna raat ko jaag ke phir paper likhna hoga aur haseena hume na aaj he paper check karke chaiye tho soch lo phir raat ko jagna na pade.... ( she said and went in her room )

Sm, Hm, Km : πŸ€¦β€β™‚οΈπŸ˜©

Hm : hum khana lagate hai tum log hath dhoke aa jao...

( They went to wash there hands and santu said...)

Sm : Di maine kuch bhi nhi padha... ab kya karu...

Km : sach kahe tho humne bhi kuch nhi kiya hai.... Abhi 15 din pahle tho hamari final exam khatam hue hai aur 8 din pahle result aaya hume tho samay he nhi mila entrance exam ki taiyari karne ke liye... Roj book leke baithte tho the lekin kuch read nhi karte the bus book ko tadke apne khayalo mai dub jate the... Humne kuch nhi kiya ab exam kaise likhenge agar marks kam aaye na tho ek nhi do do sherni ki garjana sunni hogi....

Sm : ab kya kare di kaise bacche accha hamare pass na ek idea hai... Exam ke question papers tho same he honge na... SI ke exam ke liye aapki 5 section honge aur hamare 4 section hai tho 4 section ek dusre ki help se pure kar lenge 1 section mai aap tukka mar lena....

Km : vaise tho hum copy ke sakt Khilaf hai lekin ghar pe he tho hai exam kaha farak padta hai chalega... dono sath mai milke solve karenge....

( Trio had dinner... And went to pusha ji's room...)

Pm : ha tho santu tum hamare side yani right side wale table pe baitho aur kashi tum haseena ke yani left side ke table pe baitho....

Km : ( isharo mai santu ko ) Arrey itna jyada distance... Ab kya kare... πŸ€¦β€β™‚οΈ

Hm : ye lo karu Set A tumhara aur santu ye Set B tumhara....

Sm : ( isharo mai karu ko ) di set banaye hai Sare questions alag... πŸ€¦β€β™‚οΈπŸ€¦β€β™‚οΈ

Km, Sm : ( in mind ) aise di aur ammi kisi dusman ko bhi na mile πŸ€¦β€β™‚οΈπŸ€¦β€β™‚οΈπŸ˜©

Hm : your time starts now.....

Sm : ( isharo mai karu ko ) di bohot ganda paper hai ek bhi nhi aata acche se....

Km : ( isharo mai santu ko) amma tumhe acche se nhi aata na lekin kuch tho likh sakti ho hume tho jara bhi nhi aata question tho kabhi dekhe he nhi aise lag rahe hai... aur hum tho pakka fail hai... Dono hume he Chilayenge kyuki hamari exam 3 din baadh hai tumhare pass tho aur 1 mahine ka time hai na... 😩

( haseena was doing her work on laptop, pushpa ji was keeping eye on karishma and santosh at the same time she was also reading book... Here karishma and santosh where staring papers in a way that they want to throw paper...perfect after 2 hours haseena took the papers and said karishma and santosh to go in the room...)

Pm : hamare samne he check karo...

Hm : ji ammi, tum dono apne room mai jao hum bulate hai dono ko paper check hone ke baadh...

Sm : di kitna likha?

Km : pucho mat santu 70 questions the total sirf 40 likha hai aur us mai bhi sirf 25 right honge...

Sm : wah di aapne itna tho likha hai maine tho sirf 15 questions attempt kiye hai...

( They where sitting in the hall after sometime they heard Haseena screaming their name....)

Hm : Santoshh.... Karishmaaaa... Abhi idhar aao..

( they rushed in the room... and saw that haseena and pushpa ji where burning in anger....both of theme came inside and where standing quietly like a obedient child....)

Hm : aise likhte hai paper na paper present kiya hai thik se na koi answer likha hai thik se 70 questions the us mai se sirf karishma tumhe 30 aur santosh tumhe 16 bus.... 😠😠😠

Sm : aaila jaadu... Attempt 15 marks ka kiya aur aaye 16 ... Wah πŸ˜ƒ ( said in low tone only karishma heard )

Km : humne tho sirf 25 marks ka thik se likha baki sab kuch bhi thoka tha phir bhi 30 aa gaye... Well done karishma thinking power acchi hai tumhari... πŸ‘β˜Ί( said in low tone to santosh...)

Pm : kya baate kar rahe ho... Sharam aati hai dono ko ya dimag ke sath 1+1 offer mai bech di 30 aur 16 mile hai 70 mai se lekin dono ke chehre pe smile hai... πŸ€¦β€β™‚οΈπŸ€¦β€β™‚οΈπŸ˜ πŸ˜ 

Pm : ab na tum dono baithke ye question paper 10 bar solve karo kal subhe hum check karenge.... Solve nhi hua na tho shakal mat dikha na dono ghar se sidha bahar ho jana... Hume paper 10 bar solve karke chahiye.. Samjhe 😑😑 chalo haseena so jate hai dono ko saza puri karne do....

( everyone went in there respective rooms and started doing what they where asked to do... Here karishma phone starting ringing...)

Km : Hello ha kritika bolo itni raat ko kyu phone kiya...

K : Arrey Tu lucknow aayi hai aur tune mujhe bataya he nhi... Bhul gayi kya mujhe...

Km : Arrey wo exam aa rahi hai na issi liye thoda busy ho gaye the bolo na kam kya hai...

K : perso mera birthday hai... Kaisi dost ho samne se bata na padh raha hai mujhe ki mera birthday aa raha hai..

Km : ha janan din ki shubhkamnaayein advance mai...

K : Arrey baba isiliye phone nhi kiya hai suno kal hamare ghar pe aa jao tum... Hum party karenge.... Perso movie dekhne jayenge.... Beach pe majhe karenge... Aur ha mall mai games area mai bhi jayenge, night out bhi karenge...bohot majha aayega...

Km : tum kya topa gayi ho... Tumhe pata hai na hamari di aur ammi sath mai hai.... Vo log hume bhejenge he nhi aur 3 din badh tho hamara exam bhi hai...

K : kya yaar karu tu kitna dharti hai apni bhen se aur ammi se... Aisa nhi hona chahiye dekh maine mere mummy papa ko bol diya friends aa rahe hai hotel mai room book karke do wo logo ne kar diya direct baat karne ka na tujh mai himat nhi hai.... Sabh aa rahe hai.. Ananya, Prakriti, ayush, anish, priya, arpita... Ab bus meri friends list mai tum he bachi ho.... Sabh ne apne mummy papa ko bol diya ki unhe yaha aana hai matlab aana hai....Tum bhi thoda daring dikhao... Dekho tumhe aana tho padega...jooth bolke he sahi aana tho hoga he nhi tho ham saare friends se kabhi baat mat karna....tum hamare type ki nhi ho hum ye man lenge.... πŸ˜πŸ˜’

Km : nhi nhi aisa nhi hai hum hai na daring kadak karishma malik hai.... Dekhna kal hum aa jayenge tumhare pass 3 din ke liye majhe karenge hum... Tension mat lo... Chalo kal milte hai bye...

Km : ( in mind ) karishma bol tho diya lekin ye karenge kaise hum... chordo kal sochenge abhi ye paper 10 bar solve kar lete hai nhi tho kal baat he nhi kar payenge hum di se permission tho dur ki baat...

( she completed her punishment and slept... Next morning everyone where having breakfast...)

Km : di, ammi vo hum kya keh rahe the... Kritika yaad hai hamari school friend... Hamare sath padhti thi class 1 se... Wo tabhi delhi mai thi... Lekin uske papa ka transfer ho gaya tha tho wo abhi lucknow mai he shift ho gayi hai uski...uski bhen na IPS officer hai.. Hume na kuch questions mai doubt hai tho hum uske ghar chale jaye... Please... Waha hum pakka paper solve karenge... Pura time unke sath bitayenge tho kya hai na samanya gyaan ( general knowledge) badega hamara... Jaye hum... πŸ₯ΊπŸ₯ΊπŸ₯ΊπŸ₯Ί

Hm : kitne samay ke liye...

Km : 3 din...

Hm : nhi nhi jana hai.... 3 din baad exam hai tumhari..

Km : exam ke liye he tho ja rahe hai... Waha he exam ki preparation karenge please na didi maan jao... πŸ₯ΊπŸ₯Ί

Pm : kal 10 baar paper solve karne kaha tha vo pura kiya...

Km : ha dekhiye sath mai he leke baithe hai hum book... Pura acche se complete kiya hai... Aur presentation ka bhi dhyaan rakha hai...

Hm : kaha rehti hai wo...

Km : uske driver hume lene aayenge tho nhi pata lekin ha 10 kilometre dhur hai uska ghar.... Yaha se..

Pm : ek minute hasu address kyu puch rahi ho... Jab bhej na he nhi hai tho address ka kya karenge...

Km : ammi please na pakka padhayi karenge... πŸ₯Ί

Pm : beta padhai ke naam pe tum na pahle hospital bhi ja rahi thi group study ka bahana deke apne felaye gaye raite ko samet ne ke liye... Tum na haseena ko bewakoof bana sakhti ho kyuki wo hai ki nalayak lekin hume bewakoof nhi bana sakti.... 🧐

Hm : ammi please hum nalayak nhi hai.. Aap na hume aise mat bulaya kijiye ab ho gayi galti insaan hai hum... Har baar thodi galti karenge...

Pm : beta tum galti dohra rahi ho phirse permission deke lekin kashi tum jisse permission le rahi ho na wo khud humse permission leti hai kuch karne se pahle aur hum tho tumhe permission nhi denge bus final...

Km : di please manao na ammi ko hume jana hai friend ke ghar iss bar humne koi bhi kand nhi kiya hai hum tho lucknow mai hai na delhi mai tho nhi aur jab se yaha aaye hai aap hi ke samne hai tho galti ka tho koi chance he nhi banta manayi na ammi ko πŸ₯ΊπŸ₯Ί vaise bhi hum kahi jate nhi hai.. Aaj friend ke ghar jana chahte hai please...

Hm : aacha thik hai koshish karte hai unhe manane ka... Abhi tho vo room mai chali gayi thana ke liye ready hone lekin baad mai manayenge...

Km : baad mai nhi di abhi manayein na 11 baje driver uncle aa jayenge hume lene please na jaiye... πŸ₯ΊπŸ₯Ί

Hm : aacha thik hai ja rahe hai ab ye emotional blackmail karna band karo...

( karishma gave a winning smile.. Here haseena went to pushpa ji's room... Pushpa ji was not in a mood of talking but somehow haseena manage to talk...)

Hm : ammi please suniye na hamari baat...

Pm : dekho kashi ki taraf dari kari hai tho hume koi baat nhi kari.. Tum jao taiyar ho jao aaj DSP sir round pe aane wale hai phir bolna mat late hue tho sir ne chilaya... Jao jaldi 10 minutes mai ready ho jao jyada time liya tho hum akele chale jayenge...

Hm : ammi please hamari baat suniye na... Hum lete hai karishma ki responsibility.... Pakka waha jake wo padhai he karengi... Jane dijiye na usse.. Uska bohot man hai...

Pm : dekho tumhari responsibility tum thik se nhi nibha rahi thi tabhi he itni himat aa gayi hai kashi mai jo man mai aaye wo karti hai wo... Aur abhi bhi itna kuch hone ke baad tumhe uska sath dena hai...

Hm : ammi please hum mante hai ki hamari galti thi lekin iss bar please man jaiye... Wo pakka padhai he karegi... Agar aisa nhi hua na tho aap jo chahe wo karna... Responsibility humne li hai tho agar wo galti karegi tho uski galti karne ka karan bhi hum he honge.... Jane dijiye use... Shayad aache marks score kar le vaise bhi yaha rehke tho kya he padhai hue hai uski kal ke papers tho deke he na aapne uske....

Pm : tum keh rahi ho isliye maan jate hai hum lekin ek baat kan khol ke sun lo cheta rahe hai tumhe kuch tho gadbad jarur hai... Ammi hai hum jab dekho tab tajurba kehta hai hamara tajurba kehta hai hamara karti rehti ho na aaj tumse bhi jyada tajurba hai hamara... Hum guarantee ke sath kehte hai daal mai nhi puri ke puri daal hume kaali lag rahi hai... Dekho karishma ka bhavishya iss exam se he decide hoga hum kisi ki bhi carelessness sahan nhi kar sakte agar karishma waha jake padhai nhi karti hai aur masti majak mai pura time waste karti hai aur hume yeh baat agar pata chali tho dekh lena usse tho saza milegi he lekin uske liye aur tumhare liye hum se bura koi nhi hoga...

( after this warning haseena became scared and was thinking that giving permission to karishma is right or not... But then she thought of karishma's cute innocent face )

Hm : ji.. Jii ammi hum iss chiz ki jimmedaari lete hai...

Pm : thik hai phir hume koi problem nhi hai karishma ke 3 din apni friend ke ghar jane se...

Hm : thank you ammi...πŸ˜ƒπŸ˜ƒ

( haseena came out with happy face and said karishma that pushpa ji granted permission for going out....and here karishma started jumping... Haseena became more happy seeing karishma happiness....)

Km : ( in mind ) kritu aa rahe hai tumhare birthday mai hum... Kaha tha na kadak karishma malik hai hum... Kisi se nhi darte... Dekha mil gayi na permission... Ab Gumenge, nachege, gayenge aur ash karenge.... Majha aayega... Bohot majak udha liya hamara darpok bolke ab nhi.... πŸ˜„πŸ˜„ kritu ka ghar vaise bhi 10 kilometre ki dhuri par hai tho di ya ammi waha tho nhi poch jayenge wo logo ko kaise pata chalega ki hum party karne ja rahe hai.... πŸ˜„

( thinking like this she went to her room for packing bags, and here haseena and pushpa ji went to thana....)

Will continue in the next part
Let me know whether you like this part or not.


Write a comment ...

Write a comment ...